Wazifa For Rizq – Dolat Ka wazifa – Wazifa For Money Problems

Rizq darwazay tor kar aaye

Huzoor Akram (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka irshad-e-garami hai ke jo aadmi ghar mein dakhil hotay waqt teen baton ka ehtemaam kare ga, rizq us ke darwazay tor kar aaye ga. (1) Dakhil hotay waqt darwazay par Assalamu Alaikum Wa Rahmatullah kahe, khwah samnay koi mojood ho ya na ho (2) Is ke baad ek martaba سورة الاخلاص parhe (3) Phir mujh par ek martaba durood bheje.

Tang Dasti ka ilaj Istighfar hai

Yeh amal bhi Nabi Akram (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka sikhaya hua hai. Ek Sahabi ne hazir khidmat ho kar apni maali pareshani ka tazkara kiya to Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya kasrat se istighfar ka ehtemaam karo to tumhari tangdasti door ho jayegi. Phir Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne سورة نوح ki yeh ayat bhi tilawat farmaayi:

فَقُلْتُ اسْتَغْفِرُوا رَبَّكُمْ إِنَّهُ كَانَ غَفَّارًا يُرْسِلِ السَّمَاءَ عَلَيْكُمْ مِدْرَارًا وَيُمْدِدْكُمْ بِأَمْوَالٍ وَبَنِينَ وَيَجْعَلْ لَكُمْ جَنَّتٍ وَيَجْعَلْ لَكُمْ أَنْهَارًا

Tarjuma: “Apne Rab se apne gunahon ki maafi maango, woh bohat zyada bakshnay wala hai. (Jab tum istighfar karoge to woh tum par aasman (se barish) ko khol kar barsayega aur maal aur aulad ke zariye tumhari madad karega. Aur tumhare liye baghat banayega aur darya banayega.)”

In ayat mein istighfar ke nateejay mein Allah Ta’ala ne 6 waaday farmaaye. Sab se pehla waada to istighfar ka asal natija hai ke tum maafi maango ge to use maaf karne wala pao ge. Magar 5 waaday izafi tor par kiye hain jin ka istighfar se zahiri tor par koi ta’alluq nahi.

Pehla waada: Yeh ke istighfar karoge to musla dhaar barishon ki barkha barsayi jayegi.

Dosra waada: Maal mein izafa kiya jayega.

Teesra waada: Nareena aulad mein izafa hoga.

Chautha waada: Baghon ke phalon aur faslon mein farawani aaye gi.

Paanchwa waada: Yeh ke tumhare daryao ko labalab bhar diya jayega.

Lamhah Fikriya

Ghor farmaayein ke aaj humein in paanchon cheezon ki kitni sakht zarurat hai?

(1) Pakistan mein barishon ka nizaam darham barham ho gaya hai, saawan bhaadon khushk aur pyaase guzarte hain. Waqt par barish hoti nahi aur kai dafa aise moqay par hoti hai jab is se faslon ko shadeed nuqsan pohanchta hai.

(2) Maali pareshani mein har fard alag se pareshan hai aur hukoomat dar oyaat alag se!

(3) Pakistan mein din ba din ladkon ki shirah paidaiysh kam aur shirah amwaat barh rahi hai. Aur khawateen ka abadi mein tanasub ikawan (51) fisaad se tirpan (53) fisaad ho gaya hai. Agar isi raftaar se yeh tanasub barhta raha to hum bhi Germany ki tarah kahin bahar se mard import karne par majboor na ho jayein!

(4) Faslon aur baghon ki veerani ke afsane kisi se dhakhe chhupay nahi hain. Lakhon aikar zameen hukoomati na-ahli aur be-tadbeeri ke bais banjar ho gayi hai, paani ki qillat jis tarah humari zameenon ko (Allah na kare) mustaqbil qareeb mein veeranon aur sahra mein badalne wali hai, uska to tasavvur karte hue bhi daanton ko paseena aata hai.

(5) Jahan tak taluq hai daryao ka to Pakistan ke saat darya mukammal tor par khushk ho chuke hain. Aksar ka paani India ne rok rakha hai. Isay Israel aur America ki asheer baad hasil hai.

Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Sahabi ko istighfar tajweez farmaate hue unki tasalli ki khaatir yeh ayat bhi sunaadi taake unka yaqeen aur baad mein aane wale hum jaise kamzor imaan walon ka yaqeen mutazalzal na ho ke dar istighfar ka maali mushkilat se kya taluq?

Is hadees ki wazahat aur Qur’ani ayaat ki mukhtasir tashreeh وَاللهُ وَلِيُّ التوفيق – sirf is liye ki gayi hai taake Qur’an o Hadees ke aamaal ki gehrai par hamara imaan mazeed pukhta ho jaye.

Mali wasail ki behtri ke liye

Agar mali wasail bohat kamzor hon, mehnat aur koshish ke bawajood farawani ka darwaza band ho, aur kisi taraf se mali wusat ke asar paida hotay nazar na aa rahe hon,

to aik waqt muqarrar karke is waqt rozana do nafal qaza-e-haajat ke ada karke 749 (sat so unchaas) martaba سورۃ الم نشرح parhna karein. Chand dino mein InshaAllah wusat aana shuru ho jayegi.

Jab behtri aana shuru ho jaye to is ke baad chand din tak mazeed amal jari rakhein. Phir 25 din tak سورۃ rozana 313 (teen so tera) martaba parhte rahen. Is ke baad 41 martaba subah o shaam ka mustaqil mamool rakhein.

Wusat-e-Rizq ka darwaza

Jo aadmi mali tangi ka shikar ho,

wo Jummah ki namaz ka salam pherne ke baad apni jagah par tashahhud ki position mein hi baitha rahe aur salam ke baad daayein baayein na muray, na dekhe. Aur qibla rukh baitha baitha 70 (sattar) martaba بِسْمِ اللهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيمِ – الْمُعْطِي هُوَ اللهُ parh kar Allah Ta’ala se rizq ki wusat maange. InshaAllah agla Jummah aanay se pehle uski mali haalat mein behtri aa jaayegi.

Agar zyada halaat kharab hon to do teen Jummah tak yeh amal dhora le.

Jab tak kapray rahain aish o ishrat rahay

Naye kapray pehnne se pehle jo aadmi pani par das das martaba سورة القدر aur سورة الاخلاص parh kar woh pani un naye kapron par chhidak dega, woh kapray jab tak uske badan par rahain ge tab tak woh aish o ishrat mein rahay ga.

1 thought on “Wazifa For Rizq – Dolat Ka wazifa – Wazifa For Money Problems”

  1. Pingback: Pasand ki Shaadi Ka Wazifa | Powerfull Wazifa For Love Marriage - dailysufah.com

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *