Qarz Se Nijat Ka Wazifa | Karz Ada Karne Ka Wazifa |Qarz Utarne Ka Amal
Koi shakhs maqrooz ho gaya ho aur qarz utaarna mushkil ho gaya ho to use chahiye ke har roz baad namaz-e-fajr awwal aur aakhir 3-3 martaba Durood-e-Ibrahimi ya jo yaad ho parhe aur darmiyan mein Surah Nasr 41 martaba parh kar dua kare, Insha Allah Ta’ala qarz se foran nijaat milegi aur ba asani qarza ada ho jayega.
Qarz se nijaat ke liye awwal aakhir Durood Shareef 11-11 martaba, darmiyan mein mandirja zail kalimat 500 (paanch so) martaba parh liya karein. Woh kalimat yeh hain:
1- حَسْبِيَ اللَّهُ وَنِعْمَ الْوَكِيلُ
(500 martaba) Surah At-Tawbah Ayat (118)
2- لا حَوْلَ وَلا قُوَّةَ إِلَّا بِاللهِ وَلَا مَلْجَأَ مِنَ اللَّهِ إِلَّا إِلَيْهِ
(500 martaba)
Jis ki rozi tang ho aur mushkil se guzara hota ho woh yeh kalimat rozana ba wuzu 100 martaba parh liya kare. Yeh amal 11 roz kare, Insha Allah Ta’ala rizq mein barkat hogi۔
اللَّهُمَّ تُبْ عَلَيْنَا قَبْلَ الْمَوْتِ وَهَوِّنْ عَلَيْنَا شِدَّةَ الْمَوْتِ وَأَرِحْنَا عِنْدَ الْمَوْتِ وَلَا تُعَذِّبْنَا يَا خَالِقَ الْحَيَاةِ وَالْمَمَاتِ تَوَفَّنَا مُسْلِمِينَ وَأَلْحِقْنَا بِالصَّالِحِينَ۔
Baraye taraqqi tanqwah
Rozana har namaz ke baad aik tasbih (100 martaba) بِسمِ اللهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم ki pabandi ke sath parhe. Insha Allah Ta’ala bohot jald aamdani mein izafa hoga. Aur jo dili khwahish hogi poori hogi۔
Husool taraqqiyat aur deeni o dunyawi maqasid mein kamiyabi ke liye
Insaan kabhi kisi museebat mein phans jata hai, kabhi qarz ke bojh se halkaan ho jata hai, to kabhi bala-e-nagahani usay chamat jati hai. Ba’az martaba usay koi gham fikar lahiq ho jata hai. In ke liye mandirja zail Asmaa ka parhna bohat mufeed hai. In ke parhnay ki barkat se har qism ki mushkilat door hoti hain, qarz, bimari, gham, fikar se chutkara paana naseeb hota hai. Lekin in ko parhtay waqt tadaad poori poori ho, kam na ho aur zyada bhi na ho. Raat din mein har roz kisi waqt jab sahulat ho parh liya karein.
Is ka tareeqa yeh hai ke
Har roz awwal o aakhir 11-11 martaba Durood-e-Ibrahimi parh lein, aur is ke darmiyan:
يَا فَتَّاحُ 100 martaba
يَا وَهَّابُ 100 martaba
يَا رَزَّاقُ 100 martaba
يَا مُعِزُّ 100 martaba
Qarz ki adaigi ka nihayat mujarrab amal
Yeh amal sadha buzurgwaar aur awliya-e-naamdaar ka aazmooda hai. Yeh 41 roz ka amal hai. Hazrat Molana Sheikh Abdul Haq Muhaddis Dehlvi Rehmatullah Alaih se manqool hai ke 41 roz tak shuru-e-maah se yeh Durood Shareef 100 martaba rozana parhe:
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيمِ اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ عَبْدِكَ وَرَسُولِكَ وَصلِ عَلَى الْمُؤْمِنِينَ وَالْمُؤْمِنَاتِ وَالْمُسْلِمِينَ وَالْمُسْلِمَاتِ
Mazkoorah Durood Shareef parhne ke baad sajda karke adaigi-e-qarz ki dua kare. Maal mein barkat hogi.