Istikhara ki dua | Dua-e-Istikhara | istikhara karne ka tarika in urdu

Huzoor Akram ﷺ ka irshaad e garami hai ke: مَا خَابَ مَنِ اسْتَخَارَ وَمَا نَدِمَ مَنِ اسْتَشَارَ – (Jis ne istikhara kar liya wo nuqsan mein nahin hoga aur jis ne mashwara kar liya wo pasheman nahi hoga). Koi bhi aisa mubah ya mustahab kaam karne se pehle qabil-e-mashwara logon se mashwara karna zaroori hai jiss kaam ke anjaam mein tardud ho. Karobari sharakat ho, kisi khaas peshe, fan ya hunar ka ikhtiyar karna ho, talaba ke liye university level ki taleem mein khaas shoba ka intekhab ho, aala taleem ke liye kisi khaas jamiya mein dakhila lene ka masla ho, rishta aur shadi ki baat ho ya do teen idaron mein se kisi aik mein mulazmat karne ka maamla ho! Iss tarah ke masail mein achay, dayanatdar, qabil, mukhlis aur sahib e ilm o tajurba logon se mashwara karna Quran-e-Hakim ka hukum bhi hai aur Nabi Akram ﷺ ki sunnat e mubarakah bhi hai.

Isi tarah iss tarah ke kaamon se pehle istikhara karna bhi Huzoor Anwar ﷺ ki sunnat aur Islami taleemat ka ek ahem hissa hai. Hazrat Jabir bin Abdullah Ansari farmatay hain ke Huzoor Aqdas ﷺ humein istikhara yoon sikhaya karte thay jaise Quran sikhaya karte thay. Ek riwayat mein yoon ward hai ke aap ﷺ humein istikhara ki taleem is tarah diya karte thay jaise (nau muslim ko) namaz ki taleem diya karte thay.

Istikhara khud karein

Istikhara ki dua | Dua-e-Istikhara | istikhara karne ka tarika in urdu

Aam tor par log istikhara ke liye peeron, aamilon ya muhallay ke imam o khateeb hazraat se rujoo karte hain. Unka khayal yeh hota hai ke hum log toh gunahgaar hain. Istikhara mein sahi raahnumai mile na mile, in nek logon ko unke taqwa aur deendari ki wajah se sahi raahnumai mil jaye gi. Is amal ke peeche ehsas e gunahgari ka jazba aur ulama o mashayikh se mohabbat o aqeedat ka jazba nihayat qabil e qadr hai aur is ka faida aise logon ko duniya aur aakhirat mein zaroor milega. Lekin is jazbe ke nateejay mein khud istikhara se gurez payi ikhtiyar karna aur ise sirf ahl-e-deen tak mehdood samajh lena sarasar khilaf e taleemat e Nabwi ﷺ hai.

Masnoon Istikhara ki Barakaat

Istikhara ka yeh mafhoom toh har istikhara mein mojood hai ke iske zariye aap Allah Ta’ala se yeh maangte hain ke Woh aapko is kaam ke anjaam ke hawale se khair o shar ki khabar de dein. Khwah woh khwab ki soorat mein ho ya khafi ilqaa ki soorat mein, ke aapka zehen khud ba khud is kaam ke karne ya chhodne ki taraf mail hona shuru ho jaye. Lekin Huzoor Anwar ﷺ ne istikhara ki dua jin mubarak alfaaz mein sikhayi hai, woh is mafhoom se bhi bohot wasee tar hai!

In mubarak alfaaz se istikhara khair ki talab bhi ban jata hai, khabar-e-khair ki talab bhi ban jata hai, khair ki tawfiq ki talab bhi ban jata hai, khair ko apne se qareeb karne ki talab bhi ban jata hai, aur apne aap ko khair se qareeb karne ki talab bhi ban jata hai. Is khair ke Allah Ta’ala ke darbaar mein qabool hone ki talab bhi ban jata hai. Shar se bachne ki tawfiq ki talab bhi ban jata hai, shar ko apne se door karne ki talab bhi ban jata hai, aur apne aap ko shar se mehfooz rakhne ki talab bhi ban jata hai.

Is aik dua mein duaon ka poora khazana simat aaya hai ke aadmi apne chhote se dunyawi maqsad (shadi, sharaakat, karobar, mulazmat waghera) ke liye dua maangne baithta hai aur duniya aur aakhirat ke tamam khazanon ka maalik ban kar uthta hai.

Masnoon Istikhara Dua-e-Istikhara

Do nafal istikhara ki niyyat se parh kar yeh masnoon dua parhein aur seedhi karwat qibla ki taraf munh kar ke so jayein:

اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْتَخِيرُكَ بِعِلْمِكَ وَاسْتَقْدِرُكَ بِقُدْرَتِكَ وَاسْتَلُكَ مِنْ فَضْلِكَ الْعَظِيمِ فَإِنَّكَ تَقْدِرُ وَلَا أَقْدِرُ وَتَعْلَمُ وَلَا أَعْلَمُ وَأَنْتَ عَلَّامُ الْغُيُوبِ اللَّهُمَّ إِن كُنتَ تَعْلَمُ أَنَّ هَذَا إِلَّا مُرَ خَيْرٌ لِي فِي دِينِي وَمَعَاشِي وَعَاقِبَةِ أَمْرِي فَاقْدِرُهُ لِي وَيَسِّرُهُ لِي ثُمَّ بَارِكْ لِي فِيهِ وَإِنْ كُنْتَ تَعْلَمُ أَنَّ هَذَا الْأَمْرَ شَرٌّ لِي فِي دِينِي وَمَعَاشِي وَعَاقِبَةِ أَمْرِي فَاصْرِفُهُ عَنِى وَاصْرِ فَنِي عَنْهُ وَاقْدِرُ لِيَ الْخَيْرَ حَيْثُ كَانَ ثُمَّ ارْضِنِي بِهِ –

Tarjuma: “Ay Allah! Main tere ilm ke zariye tujh se khair maangta hoon aur teri qudrat ke zariye tujh se qudrat talab karta hoon aur tere bare fazl ka tujh se sawal karta hoon. Kyun ke bila shuba tujhe qudrat hai aur mujhe qudrat nahi, aur tu jaanta hai aur main nahi jaanta, aur tu ghaybon ko khoob jaanne wala hai. Ay Allah! Agar tere ilm mein yeh kaam meri dunya aur aakhirat mein behtari ka baais hai, toh isay mera muqaddar bana aur isay mere liye aasan farma, phir is mein barakat ata farma. Agar tere ilm mein yeh kaam meri dunya aur aakhirat mein shar aur bura hai, toh isay mujh se door farma aur mujhe is se door farma, aur mere liye jahan kahin bhi khair hai, usey muqaddar farma, phir mujhe us par raazi farma.”

‘هذا الأمر’ par pohanch kar apne maqsood ka tasawwur karein (jo kaam aap karna chahte hain us ka sochna).

Surah Al-Ikhlas se Istikhara

Istikhara ki dua | Dua-e-Istikhara | istikhara karne ka tarika in urdu

Nihayat aasan aur saada istikhara hai. Har Musalman ko Surah Al-Ikhlas yaad hoti hai. Raat ko sote waqt ba wuzoo sirf 45 bar parh kar kisi se baat kiye baghair so jayein. InshaAllah rehnumai mil jaayegi. Jab tak wazeh rehnumai (maylan ya khwab ki surat mein) na mile tab tak istikhara jari rakhein, bhale 7 din tak karna pade. Aur jab numayan rehnumai mil jaaye, istikhara khatam kar dein, chahe pehla ya doosra din ho. 7 din poore karna zaroori nahi hai.

Teen Surah Istikhara

Imam Shafi’i ne istikhara ka aik tareeqa yun bayan farmaya hai ke sote waqt dahini karwat par let kar qibla ki taraf munh kar ke pehle ye teen suratein:
(1) Surah Al-Lail
(2) Surah Ad-Duha
(3) Surah Al-Inshirah
sat-sat martaba tilawat karen. Phir ye dua parh kar so jayein:

اللَّهُمَّ اجْعَلْ لِي مِنَ أَمْرِي هَذَا فَرَجًا وَمَخْرَجًا – إِنَّكَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِير

Unho ne farmaya ke khwab mein aik shakhs aakar aap ko matlooba kaam ke bare mein rehnumai se aghaah kar dega.

Qur’ani Istikhara

Sone se pehle Surah Al-Baqarah ki ye ayat mubarakah:

قَالُوا سُبْحَانَكَ لَا عِلْمَ لَنَا إِلَّا مَا عَلَّمْتَنَا إِنَّكَ أَنْتَ الْعَلِيمُ الْحَكِيمُ

101 martaba parh kar kisi se baat kiye baghair so jayein. InshaAllah, Alim-o-Khabeer Zaat aap ko aapki zaroorat se mutaliq farma degi.

Fauri Istikhara

Yeh istikhara imergensi ke surat mein foran rehnumai faraham karta hai, aur wo bhi jagte hue aur khade khade. Agar aapko kisi aise kaam ka faisla foran lena ho aur intezaar ka waqt na ho, to yeh tareeqa bohot mufeed hai. Yeh tareeqa dafa’at ka azmuda hai, jo bilkul seedha raasta dikhata hai.

Is amal ke liye pehle Surah Al-Fatiha, Surah Al-Ikhlas, Durood Sharif aur teesra kalma 11-11 martaba parhein. Phir do rakat nafal istikhara ki niyyat se khade ho jayein. Pehli rakat mein Surah Al-Fatiha parhte hue jab اِهْدِنَا الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِيمَ par pohnchein, to is ayat ko bar bar dhorate chalay jayein. Kuch der baad ek nadida quwwat aap ka chehra aur seena dahini ya bayein janib poori quwwat se mor de gi. Aap chah kar bhi seedhe khade nahi reh payenge.

Agar aapko dahini janib mor diya jaye, to kaam durust hai aur anjaam acha hoga. Agar bayein taraf mor diya jaye, to kaam ghalat hai aur anjaam bura. Yeh amal hum imergensi ke surat mein kai logon ko bata chuke hain, aur kabhi is mein ghalti nahi hoti.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *